Kameeti / BC Calculator

Members aur mahana qist daalein. Neeche dikh jayega ke har number pe kitna milega, kis mahine milega, aur aap ne us waqt tak kitna diya hoga.

—har number pe milega
—kameeti kitne mahine chalegi
—aakhri mahina

#MahinaIs mahine milegaUs waqt tak diya
Kameeti chalani hai to hisaab app pe rakhein.

Sahulat mein kis ne qist di aur kis ne nahi, kis ka number kab hai, aur aap ki apni qistein, sab ek jagah rehta hai. Members ko invite karein to wo apna number apni app mein dekh lete hain. Ye app free hai, offline chalti hai aur is mein koi ads nahi.

Sahulat download karein (Android)

Hisaab kaise banta hai

Har mahine har member ek jitni qist deta hai, aur jama hui saari raqam us member ko milti hai jis ka us mahine number hai. Is liye:

Agar kisi ne 2 hissay liye hain to wo double qist deta hai aur use 2 number milte hain. Calculator mein hissay members ki tarah ginein.

Sawal jawab

Pehla number behtar hai ya aakhri?
Rupay dono ko barabar milte hain. Pehla number ek tarah ka bina sood qarz hai: paisa aaj mil gaya, aur aap use qiston mein wapas kar rahe hain. Aakhri number ek tarah ki bachat hai. Lekin mehngai ki wajah se aakhri number pe milne wale paison ki qeemat thori kam ho chuki hoti hai.
Number kaise tay karein?
Aksar parchi daal kar ya organizer ki marzi se. Jis ko paison ki zaroorat jaldi ho, wo pehle number maang leta hai. Tareeqa jo bhi ho, kameeti shuru hone se pehle sab ko likh kar bata dein.
Koi member qist na de to?
Usi waqt organizer ko pata hona chahiye. Is ke liye ek record rakhein ke kis ne kis mahine qist di. Poora tareeqa: kameeti kaise chalayein.